Your Choice

Sunday, 17 June 2012

ghazal sms

Ghum ko chupanay ka

Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya


Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya


Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya


Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya


Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya


Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya


Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya


Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya


Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya


Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya



Aaj jo Tanha hai

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Aur na Pa ke Mujhey
Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera
Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein
Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein
Haath us ney Mera Thama Ho ga
Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga


Wo sunta to main kehta

Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.

kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.

rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.

ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.



No comments:

Post a Comment

Tricks

Search JavaScript Kit:
 

This free script provided by
JavaScript Kit